CITIZEN AMENDMENT BILL-CAB KYA HAI

CAB, CAA, NRC, NPR KYA HAI- FULL FORM WITH DETAILS

CITIZEN AMENDMENT BILL-CAB KYA HAI
CITIZEN AMENDMENT BILL-CAB KYA HAI

CAB, CAA, NRC, NPR KYA HAI- kya aapko pta hai ki jis kanun (CAA) ko lekar itne dange ho rahe hai akhir wo hai kya OR kya hota hai? CAB, CAA, NRC, NPR ka matlab! agar ha-to aap bilkul sahi jagah pr aaye hai! aaj me aapko btaunga ki CAB, CAA, NRC, NPR kya hota hai or kese CAB, CAA bna. To chaliye padhte hai. CAB, CAA, NRC, NPR ke baare me iski kuch jankari saath hi iski full form bhi.

CAB ki full form - CAB SE CAA BANNE TAK

CAB ka full form - CITIZEN AMENDMENT BILL hota hai.
Or ise hum nagrikta bill ke naam se bhi jaante hai!

Darasal CAB bill sansad me pass karne ki kosish kaphi samay se ki ja rahi hai, ek baar pahle bhi is bill ko sansad me pass karne ki kosish netao dwara ki gayi thi per unhe uss samay nirasha ka samna karna pda tha, is bill ko 2019 me ek baar fir se uthaya gya aur is baar is bill ko lok sabha aur rajya sabha me pass kr diya gya. Aur ab CAB bill ko 2019 me pass ker dene ke baad ye bill ek kanun ban chuka hai jise hum CAA ke naam se jante hai 
CITIZEN AMENDMENT BILL-CAB KYA HAI
CITIZEN AMENDMENT BILL-CAB KYA HAI
ab aap sub soch rahe honge ki ye CAA kya hota hai aur iska full form kya hota hai, Drasal CAA ka matlab hai ki dusre desho se bharat  me rahne aaye logo ko bharat ki nagrikta me dhil dene ka prawdhan is kanun me hai, ye kanun kisi bhi bharat vasi per laagu nahi hota is kanun ka pura matlab kya hai or iski full form kya hai? ye me aapko btaunga apne agle article me CAA ko pura padhne ke liye is link per jaaye:

dosto, aaj hamare desh me us kanun ko leker itna pradrashan, itne dange ho rahe hai jo kanun bharatiyo pr lagu hota hi nahi. bahut saare logo ko to abhi theek se pta bhi nahi ki is kanun ka matlab  kya hota hai pr fir bhi log kuch bahri logo ki baat me aaker hamare us bharat desh ko todne ki kosis ker rahe hai  jis pr itihas se hi bahri log apna kabja karne ke sapne dekh rahte hai udahran ke liye elexzender, angrej or baaki ke log suruwat se hi bharat pr apna kabja jamane ki kosis kerte a rahe hai jisme se kai baar kuch log kaamyaab bhi ho gaye  jisme se har bar hum bhartiyo ki hi galti rahi hai bhahri log hume bhadkate or hum bhadk bhi jaate or fir ek bhyank samaye ka samna hume karna padta esa hi ek samaye angrejo ke raaz me hua tha jub hum angrejo ki baat me aaker akhand bharat ke ek bade hisse pakistan ko kho bethe the us samaye bhi dange hi hue the jis ka anjaam bharat or pakistan ko aaj tak bhugtna padta hai, par log sayad abhi bhi samjhe nahi hai ek wo samaye tha ki humne dusro ki baato me aakar apne desh ka bahut nuksaan kiya tha or ek aaj ka samaye hai ki hum aaj bhi sayad nahi badle aaj bhi hum dusro ki baat me aaker apne hi desh me dange kar rahe hai apne desh ko nuksaan pahucha rahe hai.

me jaanta hu itna sab kuch padhne ke baad apke man me ek hi sawaal uth raha hoga ki ab hum apne hak ke liye pradrashon bhi nahi ker sakte? to me aapko ye baat saaf ker dena chahta hu ki apne khilaf ho rahe atyachar ke khilaf pradarshon karne, aawaj uthane ka hak sabhi nagriko hai per santipurn tarike se is tarah dange kar ke nahi! Koi aap ko mana nahi karta agar aap aapne khilaf ho rahe atyachar ke khilaf awaaj uthate hai to per dange karne ka hak kisi ko nahi hai or to or CAA to kisi bhi bhartiye ke khilaf bhi nahi hai.

Isiliye, aap sab se meri ek hi gujarish hai ki kisi ki bhi baato me aaker ese dange na kare, pahle sab kuch pta kare tab hi us baare me kuch soche sayad aap sabhi ko pta nahi hai ki sarkar ke is fesle ka virodh karne ke liye ke liye virodhi party bhi CAA ke baare me galat afvahe fela  rahi hai, vahi kuch logo ka ye bhi maanna hai ki in dango ke piche aatankvadio ka bhi haath hai, to aap ko kya lagta hai comment ker ke btaiye, desh me dange karne se sirf desh or hamare pyaare deshvasio ka hi nukasaan ho raha hai, isiliye aapse anurodh hai ki in dango ko badhava na de agar aapko pradrashon karna hi hai to aap santi purn se kare, khair agar aap CAA ke baare me ki nagrikta kanun kya hai to  is link pr click kare https://digitaleducation2019.blogspot.com/2020/01/citizen-amendment-act-caa-kya-hai-.html

THANK YOU

No comments:

Powered by Blogger.